na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyar apna
na hum ko e'tibar apna na un ko e'tibar apna
Qateel Shifai
ahega sath tera pyar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
Qateel Shifai
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyar karen us pe tohmaten bhi dharen
Qateel Shifai
tark-e-wafa ke baad ye us ki ada 'qatil'
mujh ko satae koi to us ko bura lage
Qateel Shifai
ye Thik hai nahin marta koi judai mein
KHuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Qateel Shifai
suraj sitare chand mere sat mein rahe
jab tak tumhaare hat mere hat mein rahe
Rahat Indori
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhaDkanon se bhi ibaadat mein KHalal paDta hai
Rahat Indori