hala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle
na kabhi hamare qadam baDhe na kabhi tumhaari jhijak gai
Bashir Badr
itni milti hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhte honge
Bashir Badr
KHuda ki itni baDi kaenat mein main ne
bas ek shaKHs ko manga mujhe wahi na mila
Bashir Badr
koi phul sa hath kandhe pe tha
mere panw shoalon pe jalte rahe
Bashir Badr
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
Bashir Badr
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
Bashir Badr
main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do
tumhaari tarah se koi gale lagae mujhe
Bashir Badr