aane wale jaane wale har zamane ke liye
aadmi mazdur hai rahen banane ke liye
Hafeez Jalandhari
KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein
na haweli na mahal aur na koi ghar hota
Haidar Ali Jafri
is liye sab se alag hai meri KHushbu 'ami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun
Imran Aami
hone do charaghan mahlon mein kya hum ko agar diwali hai
mazdur hain hum mazdur hain hum mazdur ki duniya kali hai
Jameel Mazhari
inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi
jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain
Jameel Mazhari
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibarat hai mere muskurane se
Majrooh Sultanpuri
duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun
KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai
Manmohan Talkh