logon ne aaram kiya aur chhuTTi puri ki
yakum may ko bhi mazduron ne mazduri ki
Afzal Khan
kuchal kuchal ke na foot-path ko chalo itna
yahan pe raat ko mazdur KHwab dekhte hain
Ahmad Salman
phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain
Ali Sardar Jafri
tu qadir o aadil hai magar tere jahan mein
hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat
Allama Iqbal
main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi
waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich
Anwar Masood
teri zamin pe karta raha hun mazduri
hai sukhne ko pasina muawza hai kahan
Asim Wasti
main ek mazdur hun roTi ki KHatir bojh uThata hun
meri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna
Ehtisham ul Haq Siddiqui