hae re majburiyan mahrumiyan nakaamiyan
ishq aaKHir ishq hai tum kya karo hum kya karen
Jigar Moradabadi
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui
Jigar Moradabadi
wahshaten ishq aur majburi
kya kisi KHas imtihan mein hun
Khurshid Rabbani
jo kuchh paDti hai sar par sab uThata hai mohabbat mein
jahan dil aa gaya phir aadmi majbur hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
teri majburiyan durust magar
tu ne wada kiya tha yaad to ka
Nasir Kazmi
kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
Qateel Shifai
main chahta hun use aur chahne ke siwa
mere liye to koi aur rasta bhi nahin
Saud Usmani