le ke KHat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin
thartharaate hue hathon ne bharam khol diya
Jigar Moradabadi
wan se aaya hai jawab-e-KHat koi suniyo to zara
main nahin hun aap main mujh se na samjha jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
kaise manen ki unhen bhul gaya tu ai 'kaif'
un ke KHat aaj hamein tere sirhane se mile
Kaif Bhopali
us ne ye kah kar pher diya KHat
KHun se kyun tahrir nahin hai
Kaif Bhopali
apna KHat aap diya un ko magar ye kah kar
KHat to pahchaniye ye KHat mujhe gumnam mila
Kaifi Hyderabadi
KHat likha yar ne raqibon ko
zindagi ne diya jawab mujhe
Lala Madhav Ram Jauhar
mera hi KHat us shoKH ne bheja mere aage
aaKHir jo likha tha wahi aaya mere aage
Lala Madhav Ram Jauhar