kisi na-KHwanda buDhe ki tarah KHat us ka paDhta hun
ki sau sau bar ek ek lafz se ungli guzarti hai
Athar Nafees
wo taDap jae ishaara koi aisa dena
us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena
Azhar Inayati
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat
Bahram ji
ho chuka aish ka jalsa to mujhe KHat bheja
aap ki tarah se mehman bulae koi
Dagh Dehlvi
kya kya fareb dil ko diye iztirab mein
un ki taraf se aap likhe KHat jawab mein
Dagh Dehlvi
ghusse mein barhami mein ghazab mein itab mein
KHud aa gae hain wo mere KHat ke jawab mein
Divakar Rahi
ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid
ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai
Ehsan Ali Khan