han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
Kaleem Aajiz
ishq mein maut ka nam hai zindagi
jis ko jina ho marna gawara kare
Kaleem Aajiz
marna to bahut sahal si ek baat lage hai
jina hi mohabbat mein karamat lage hai
Kaleem Aajiz
wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?
tu usi ko pyar kare hai kyun ye 'kalim' tujh ko hua hai kya?
Kaleem Aajiz
zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi
Kaleem Aajiz
hamesha aag ke dariya mein ishq kyun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azab hona tha
Karamat Ali Karamat
ji chahega jis ko use chaha na karenge
hum ishq o hawas ko kabhi yakja na karenge
Karamat Ali Shaheedi