adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
Chakbast Brij Narayan
ilm ki ibtida hai hangama
ilm ki intiha hai KHamoshi
Firdaus Gayavi
junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka
fasad jo bhi jahan mein hua KHirad se hua
Iqbal Azeem
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
ibtida ye thi ki main tha aur dawa ilm ka
intiha ye hai ki is dawe pe sharmaya bahut
Jagan Nath Azad
had se baDhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hain wo kuchh jaante nahin
knowledge, friends, is poisonous, if its in excess
those who, say, know everything, no knowledge do possess
Khumar Barabankavi
mere qabile mein talim ka riwaj na tha
mere buzurg magar taKHtiyan banate the
Liaqat Jafri