ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki
Abdul Hamid Adam
lazzat-e-gham to baKHsh di us ne
hausle bhi 'adam' diye hote
Abdul Hamid Adam
gham se nisbat hai jinhen zabt-e-alam karte hain
ashk ko zinat-e-daman nahin hone dete
Abrar Kiratpuri
gham se hum sukh jab hue lakDi
dosti ka nihaal Dal kaT
Abroo Shah Mubarak
gham-e-habib nahin kuchh gham-e-jahan se alag
ye ahl-e-dard ne kya masale uThae hain
Abu Mohammad Sahar
takmil-e-arzu se bhi hota hai gham kabhi
aisi dua na mang jise bad-dua kahen
Abu Mohammad Sahar
KHamushi se hui fughan se hui
ibtida ranj ki kahan se hui
Ada Jafri