phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai
bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai
Aitbar Sajid
paD jaen mere jism pe lakh aable 'akbar'
paDh kar jo koi phunk de april may june
Akbar Allahabadi
dhup ki garmi se inTen pak gain phal pak gae
ek hamara jism tha aKHtar jo kachcha rah gaya
Akhtar Hoshiyarpuri
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
Bedil Haidri
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai
Hasrat Mohani
garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai
har taur gharaz aap se milna hi kam achchha
Insha Allah Khan u0027Inshau0027
pighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi masum kirnen ro gai hain
Jalib Nomani