اردو हिंदी
Wo aankhen zahr aisa bo gai hain | Shaahi Shayari
wo aankhen zahr aisa bo gai hain

Ghazal

Wo aankhen zahr aisa bo gai hain

Jalib Nomani

;

wo aankhen zahr aisa bo gai hain
zaminen zard sahra ho gai hain

andhere gir rahe hain aasman se
faza ki wusaten bhi so gai hain

hamesha ek ja pata hun KHud ko
haden manzil ki shayad kho gai hain

chamak kya ret ki zarron mein hogi
jo sona tha wo maujen dho gai hain

pighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi masum kirnen ro gai hain