us ke dil par bhi kaDi ishq mein guzri hogi
nam jis ne bhi mohabbat ka saza rakkha hai
Hakeem Nasir
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
Hasan Nayeem
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai
Hasrat Mohani
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
Hasrat Mohani
hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
Hasrat Mohani
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
Hasrat Mohani
pyar ka pahla KHat likhne mein waqt to lagta hai
nae parindon ko uDne mein waqt to lagta hai
Hastimal Hasti