na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara
miTe namiyon ke nishan kaise kaise
Haidar Ali Aatish
na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun
laga ke aag mujhe karwan rawana hua
Haidar Ali Aatish
sun to sahi jahan mein hai tera fasana kya
kahti hai tujh ko KHalq-e-KHuda ghaebana kya
Haidar Ali Aatish
aagah apni maut se koi bashar nahin
saman sau baras ka hai pal ki KHabar nahin
the time of his death, man cannot foresee
uncertain of the morrow yet, plans for a century
Hairat Allahabadi
na to kuchh fikr mein hasil hai na tadbir mein hai
wahi hota hai jo insan ki taqdir mein hai
there is naught from worrying, nor from planning gained
for everything that happens is by fate ordained
Hairat Allahabadi
jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai
sang har shaKHs ne hathon mein uTha rakkha hai
Hakeem Nasir
pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho
main ne tum ko bhi kabhi apna KHuda rakkha hai
Hakeem Nasir