KHushi hai sab ko roz-e-id ki yan
hue hain mil ke baham aashna KHush
Meer Mohammadi Bedar
agar hayat hai dekhenge ek din didar
ki mah-e-id bhi aaKHir hai in mahinon mein
Mirza Raza Barq
falak pe chand sitare nikalne hain har shab
sitam yahi hai nikalta nahin hamara chand
Pandit Jawahar Nath Saqi
id ka chand jo dekha to tamanna lipTi
un se taqrib-e-mulaqat ka rishta nikla
Rahmat Qarni
apni KHushiyan bhul ja sab ka dard KHarid
'saifi' tab ja kar kahin teri hogi id
Saifi saronji
aai id wa dil mein nahin kuchh hawa-e-id
ai kash mere pas tu aata bajae id
Shaikh Zahuruddin Hatim
id ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen
ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi
Shola Aligarhi