kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas
main mai-kade mein tera intizar kar lunga
Abdul Hamid Adam
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald
rah mein but-KHana paDta hai ilahi kya karun
Ameer Minai
nahin dair o haram se kaam hum ulfat ke bande hain
wahi kaba hai apna aarzu dil ki jahan nikle
Asghar Gondvi
dair-o-haram ko dekh liya KHak bhi nahin
bas ai talash-e-yar na dar-dar phira mujhe
Bekhud Badayuni
dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin
Dattatriya Kaifi
ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta
wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre
Habeeb Musvi
is taraf dair udhar kaba kidhar ko jaun
is do-rahe mein kahan yar raha karta hai
Lala Madhav Ram Jauhar