lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
Aasi Ghazipuri
osan laban sin dene kaha kah ke phir gaya
pyala bhara sharab ka afsos gir gaya
Abroo Shah Mubarak
ose mein honT ulTa aashiq ka kaT khaya
tera dahan maze sin pur hai pe hai kaTora
Abroo Shah Mubarak
namkin goya kabab hain phike sharab ke
bosa hai tujh laban ka maze-dar chaTpaTa
Abroo Shah Mubarak
us waqt dil pe kyunke kahun kya guzar gaya
bosa lete liya to sahi lek mar gaya
Abroo Shah Mubarak
hum ko gali ke liye bhi lab hila sakte nahin
ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya
Adil Mansuri
jo un ko lipTa ke gal chuma haya se aane laga pasina
hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyunkar sharab-e-ariz
Ahmad Husain Mail