jaan tujh par kuchh e'timad nahin
zindagani ka kya bharosa hai
Khan Arzoo Sirajuddin Ali
main us ke wade ka ab bhi yaqin karta hun
hazar bar jise aazma liya main ne
To this day her promises I do still believe
who a thousand times has been wont to deceive
Makhmoor Saeedi
dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'
us ko kab e'tibar aata hai
Mohammad Ali Khan Rashki
ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko
Shahryar
jhuT par us ke bharosa kar liya
dhup itni thi ki saya kar liya
Shariq Kaifi
musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musafiron ki mohabbat ka e'tibar na ka
Umar Ansari
hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
Waheed Quraishi