udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
Bashir Badr
us ki aankhon ko ghaur se dekho
mandiron mein charagh jalte hain
Bashir Badr
asar na puchhiye saqi ki mast aankhon ka
ye dekhiye ki koi hoshyar baqi hai
Betab Azimabadi
aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par
dekho meri jaan aankh laDana nahin achchha
Bhartendu Harishchandra
idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain
meri nigah nahin hai zaban hai goya
Bismil Saeedi
ah gae lakhon kaleja tham kar
aankh jis jaanib tumhaari uTh gai
Dagh Dehlvi
hote hain raaz-e-ishq-o-mohabbat isi se fash
aankhen zaban nahin hai agar be-zaban nahin
Fani Badayuni