jigar mein lal ke aatish paDi hai
magar tujh lab upar han ki dhaDi hai
Abdul Wahab yakro
jo tun murgha nahin hai ai zahid
kyun sahar gah de hai uTh ke bang
Abdul Wahab yakro
kaman abru nipaT shah-zor haiga
ki shaKH-e-ashnai toD Dali
Abdul Wahab yakro
KHam-e-mehrab-e-abruwan ke bich
kaam aankhon ka hai imamat ka
Abdul Wahab yakro
na howe kyun ke gardun pe sada dil ki buland apni
hamari aah hai Danka damame ke bajaane ka
Abdul Wahab yakro
pyasa mat jala saqi mujhe garmi sin hijran ki
shitabi la sharab-e-KHam hum ne dil ko bhuna hai
Abdul Wahab yakro
aqiban-e-siyah-ru shahr-e-dehli ke musahib hain
ganda nala bhi ja kar mil raha hai dekh jamuna kun
Abdul Wahab yakro