abas DhunDa kiye hum na-KHudaon ko safinon mein
wo the aasuda-e-sahil mile sahil-nashinon mein
Abdul Rahman Bazmi
chhalak jati hai ashk-e-garm ban kar meri aankhon se
Thaharti hi nahin sahba-e-dard in aabginon mein
Abdul Rahman Bazmi
tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat
jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein
Abdul Rahman Bazmi
andheri raat ko main roz-e-ishq samjha tha
charagh tu ne jalaya to dil bujha mera
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
aankhen meri phuTen teri aankhon ke baghair aah
gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
aag is dil-lagi ko lag jae
dil-lagi aag phir lagane lagi
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
aah-e-pechan apni aisi hai ki jis ke pech ko
pechwan nicha bhi tera dekh kar KHam khae hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi