ishq hai be-gudaz kyun husn hai be-niyaz kyun
meri wafa kahan gai un ki jafa ko kya hua
Abdul Majeed Salik
jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki
abhi aa ke wo na baiThe ki hum uTh gae jahan se
Abdul Majeed Salik
mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
ki mila jamal-e-saqi ko ye tantana kahan se
Abdul Majeed Salik
nai shamen jalao aashiqi ki anjuman walo
ki suna hai shabistan-e-dil-e-parwana barson se
Abdul Majeed Salik
tujhe kuchh ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil
sunae ja raha hai ek hi afsana barson se
Abdul Majeed Salik
iltifat-e-dostan bhi zalzala se kam nahin
kuchh suluk-e-dushmanan bhi zalzala se kam nahin
Abdul Mannan Tarzi
su-e-sahra hi chalen shayad rahen mahfuz kuchh
ab to sehn-e-gulistan bhi zalzala se kam nahin
Abdul Mannan Tarzi