taklif miT gai magar ehsas rah gaya
KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya
Abdul Hamid Adam
tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin
rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat Thik nahin
Abdul Hamid Adam
thoDi si aql lae the hum bhi magar 'adam'
duniya ke hadsat ne diwana kar diya
Abdul Hamid Adam
tujh ko kya dusron ke aibon se
kyun abas ru-siyah hota hai
Abdul Hamid Adam
wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai
kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai
Abdul Hamid Adam
wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam
naghmat mein Dubi hui barsat ka aalam
Abdul Hamid Adam
wo mile bhi to ek jhijhak si rahi
kash thoDi si hum piye hote
Abdul Hamid Adam