wo peD to nahin tha ki apni jagah rahe
hum shaKH to nahin the magar phir bhi kaT gae
Akhtar Hoshiyarpuri
wo shayad koi sachchi baat kah de
use phir bad-guman karna paDa hai
Akhtar Hoshiyarpuri
yahi din mein Dhalegi raat 'aKHtar'
yahi din ka ujala raat hoga
Akhtar Hoshiyarpuri
ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi phirta hai sar-e-shahr-e-wafa aawara
Akhtar Hoshiyarpuri
ye kya ki mujh ko chhupaya hai meri nazron se
kabhi to mujh ko mere samne bhi lae wo
Akhtar Hoshiyarpuri
ye sarguzisht-e-zamana ye dastan-e-hayat
adhuri baat mein bhi rah gai kami meri
Akhtar Hoshiyarpuri
zamana apni uryani pe KHun roega kab tak
hamein dekho ki apne aap ko oDhe hue hain
Akhtar Hoshiyarpuri