kisi ko mar ke KHush ho rahe hain dahshat-gard
kahin pe sham-e-ghariban kahin diwali hai
Sharib Mauranwi
peD ke niche zara si chhanw jo us ko mili
so gaya mazdur tan par boriya oDhe hue
Sharib Mauranwi
saron pe oDh ke mazdur dhup ki chadar
KHud apne sar pe use saeban samajhne lage
Sharib Mauranwi
astiyan tu ne KHalaon mein basain bhi to kya
dil ke viranon ko dekh in ko bhi kuchh aabaad ka
Sharif kunjahi
gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi
jab koi kali jaur KHizan ke na sahegi
Sharif kunjahi
gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi
jab koi kali jaur KHizan ke na sahegi
Sharif kunjahi
ghunuda rahon ko tak tak ke sogwar na ho
tere qadam hi musafir inhen jagaenge
Sharif kunjahi