mujhe har sham ek sunsan jangal khinch leta hai
aur is ke baad phir KHuni balaen raqs karti hain
Shamim Ravish
qabila-war adawat ka silsila 'tariq'
fasad-e-shahr ki surat mein ab bhi chalta hai
Shamim Tariq
tamam shahr ba-yak-waqt jal gaya kaise
muhafizon ke dilon mein futur tha kya tha
Shamim Tariq
aankhen dhoka de gain panw chhoD gae sath
sabhi sahaare dur hain kis ka pakDen hath
Shams Farrukhabadi
aankhen dhoka de gain panw chhoD gae sath
sabhi sahaare dur hain kis ka pakDen hath
Shams Farrukhabadi
hale bure bartao ka hai itna sa raaz
gunje palaT ke jis tarah gumbad ki aawaz
Shams Farrukhabadi
ichhDe huon ke aaj phir KHat kuchh aise aae
jaise paTri rail ki dur pe ek ho jae
Shams Farrukhabadi