اردو हिंदी
Mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain | Shaahi Shayari
mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

Ghazal

Mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain

Shamim Ravish

;

mere atraf ye kaisi sadaen raqs karti hain
ki yun lagta hai mujh mein apsaraen raqs karti hain

isi ummid par shayad kabhi KHushbu koi utre
meri yaadon ke aangan mein hawaen raqs karti hain

mayassar hi nahin aati mujhe ek pal bhi tanhai
ki mujh mein KHwahishon ki KHadmaen raqs karti hain

mujhe har sham ek sunsan jangal khinch leta hai
aur is ke baad phir KHuni balaen raqs karti hain

kabhi dekha hai tum ne sham ka manzar jab aankhon mein
sitare TuTte hain aur ghaTaen raqs karti hain

kisi ki chah mein koi 'rawish' jab jaan deta hai
zamin se aasman tak aatmaen raqs karti hain