meri KHushi se mere doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is ka bahut gham hai kya kiya jae
Shamim Jaipuri
meri KHushi se mere doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is ka bahut gham hai kya kiya jae
Shamim Jaipuri
e-KHabar phul ko bhi khinch ke patthar pe na mar
ki dil-e-sang mein KHwabida sanam hota hai
Shamim Karhani
ujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi
ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai
Shamim Karhani
ujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi
ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai
Shamim Karhani
chup hun tumhaara dard-e-mohabbat liye hue
sab puchhte hain tum ne zamane se kya liya
Shamim Karhani
pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo banTta hai wo aab-e-hayat aur hai
Shamim Karhani