TaTolo parakh lo chalo aazma lo
KHuda ki qasam ba-KHuda aadmi hun
Shamim Abbas
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-sham
phir subh talak sochte rahte hain wo kya thi
Shamim Abbas
dur tak phaila hua hai ek an-jaana sa KHauf
is se pahle ye samundar is qadar barham na tha
Shamim Farooqui
hasin rut hai magar kaun ghar se niklega
har ek badan mein samaya hua hai Dar ab ke
Shamim Farooqui
and kar ke khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh
Shamim Hanafi
and kar ke khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh
Dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh
Shamim Hanafi
main ne chaha tha ki lafzon mein chhupa lun KHud ko
KHamushi lafz ki diwar gira deti hai
Shamim Hanafi