sayyaad ke jigar mein kare tha sinan ka kaam
murgh-e-qafas ke sar pe ye ehsan-e-nala tha
Shah Naseer
shaiKH-sahib ki namaz-e-sahari ko hai salam
husn-e-niyyat se musalle pe wazu TuT gaya
Shah Naseer
shaiKH-sahib ki namaz-e-sahari ko hai salam
husn-e-niyyat se musalle pe wazu TuT gaya
Shah Naseer
sharab lao kabab lao hamare dil ko na ab ghatao
shurua dud-e-qadah ho jaldi ki sar pe abr-e-bahaar aaya
Shah Naseer
shauq-e-kushtan hai use zauq-e-shahadat hai mujhe
yan se main jaunga wan se wo sitamgar aaega
Shah Naseer
super rakhta hun main bhi aaftabi saghar-e-mai ki
mujhe ai abr tegh-e-barq ko chamka ke mat dhamka
Shah Naseer
tar-e-mizhgan pe rawan yun hai mera tifl-e-sarishk
naT rasan par chale hai jaise koi rakh kar panw
Shah Naseer

