tar-e-nafas ulajh gaya mere gulu mein aa ke jab
naKHun-e-tegh-e-yar ko main ne girah-kusha kiya
Shah Naseer
tere KHayal-e-naf se chakkar mein kiya hai dil
girdab se nikal ke shanawar nahin phira
Shah Naseer
tere hi nam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai wird har ek subh-o-sham aashiq ka
Shah Naseer
tishnagi KHak bujhe ashk ki tughyani se
ain barsat mein bigDe hai maza pani ka
Shah Naseer
tu to ek parcha bhi wan se nama-bar laya na aah
zindagi kyunkar ho gar hum dil ko par jawen nahin
Shah Naseer
tu to ek parcha bhi wan se nama-bar laya na aah
zindagi kyunkar ho gar hum dil ko par jawen nahin
Shah Naseer
waqt-e-namaz hai un ka qamat-e-gah-e-KHadang-o-gah-e-kaman
ban jate hain ahl-e-ibaadat gah-e-KHadang-o-gah-e-kaman
Shah Naseer

