na hath rakh mere sine pe dil nahin is mein
rakha hai aatish-e-sozan ko dab ke ghar mein
Shah Naseer
na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka
tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka
Shah Naseer
nahin hai fursat-e-ik-dam pa aah us ko nazar
habab dekhe hai aankhen nikal ke kaisa
Shah Naseer
'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain
Shah Naseer
'nasir' us zulf ki ye kaj-adai koi jati hai
masal mashhur hai rassi jali lekin na bal nikla
Shah Naseer
pistan ko tere dekh ke miT jae phir hubab
dariya mein ta-ba-sina agar tu nahae subh
Shah Naseer
pistan ko tere dekh ke miT jae phir hubab
dariya mein ta-ba-sina agar tu nahae subh
Shah Naseer

