zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-KHuda kyun hai?
dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah
Aatish Bahawalpuri
aadmi ko chahiye taufiq chalne ki faqat
kuchh nahin to guzre waqton ka dhuan le kar chale
Aazim Kohli
'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya
kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi
Aazim Kohli
aat chal niklegi phir iqrar ki inkar ki
phir wahi bachpan ke bhule git gae jaenge
Aazim Kohli
dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi
Aazim Kohli
dekhna kaise pighalte jaoge
jab meri aaghosh mein tum aaoge
Aazim Kohli
dukh pe mere ro raha tha jo bahut
jate jate kah gaya achchha hua
Aazim Kohli