اردو हिंदी
Ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi | Shaahi Shayari
ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

Ghazal

Ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

Aazim Kohli

;

ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi
ek dil sine mein TuTa sa aur fitrat mein dildari bhi

mast umangon ke jhonke aur faqa masti ka aalam
hasrat ki tez hawaen bhi ummid ki aatish-bari bhi

dil par khole uDne ke liye uDne ka magar imkan kahan
roken pairon ki zanjiren pinjre ki chaar-diwari bhi

dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai
saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi

behaal na ho yun nadan dil har haal mein jina hai lazim
hai raste mein aasani bhi majburi bhi dushwari bhi

ek khel musalsal gardish ka dekha hai hum ne gulshan mein
phulon ka khil kar murjhana aur kaliyon ki kilkari bhi

manzil pe na pahuncha jab koi ilzam usi par kyun aae
rah-raw ke bhaTakne mein hai kuchh rahbar ki zimme-dari bhi

'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya
kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi