KHulus-e-shauq mein 'sahir' baDi tasir hoti hai
wahin kaba simaT aaya jabin hum ne jahan rakh di
Sahir Siyalkoti
sambhal kar panw rakhna wadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahan jo sair ko aata hai bach kar kam nikalta hai
Sahir Siyalkoti
sambhal kar panw rakhna wadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahan jo sair ko aata hai bach kar kam nikalta hai
Sahir Siyalkoti
ye kyunkar man len ulfat hamein karni nahin aati
kiya hai kaam hi kya aur ulfat ke siwa hum ne
Sahir Siyalkoti
nahin hain bolne wale jo chaar su apne
hamare kanon mein ye shor kyun bhara hua hai
Said Iqbal Saadi
yahi aadat to hai 'sadi' sukun-e-qalb ka bais
main nafrat bhul jata hun mohabbat banT deta hun
Said Iqbal Saadi
chingariyan na Dal mere dil ke ghao mein
main KHud hi jal raha hun ghamon ke alao mein
Saif Zulfi

