tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki
tu bhi muTThi mein kahan bhench saka pani ko
Ahmad Shahryar
tu maujud hai main madum hun is ka matlab ye hai
tujh mein jo napaid hai pyare wo hai mayassar mujh mein
Ahmad Shahryar
allah wala ek qabila meri nisbat
aur main apne nam nasab se na-waqif hun
Ahmad Shanas
ahar insanon se nafrat hai lekin
ghar mein Dheron bachche paida karte hain
Ahmad Shanas
aghair-e-jism bhi hai jism ka ehsas zinda
ye KHushbu banTne wali hawaen bhi qayamat
Ahmad Shanas
ahut chhoTa safar tha zindagi ka
main apne ghar ke andar tak na pahuncha
Ahmad Shanas
as us ki pahchan yahi hai
aankh mein aansu bharne wala
Ahmad Shanas