jal uThen yaadon ki qindilen sadaen Dub jaen
dar-haqiqat KHamushi sahra bhi hai dariya bhi hai
Ahmad Shahryar
KHwab-e-ziyan hain umr ka KHwab hain hasil-e-hayat
is ka bhi tha yaqin mujhe wo bhi mere guman mein tha
Ahmad Shahryar
lams-e-sada-e-saz ne zaKHm nihaal kar diye
ye to wahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein tha
Ahmad Shahryar
na dastaken na sada kaun dar pe aaya hai
faqir-e-shahr hai ya shahryar dekhiyega
Ahmad Shahryar
qatra Thik hai dariya hone mein nuqsan bahut hai
dekh to kaise Dub raha hai mera lashkar mujh mein
Ahmad Shahryar
aaton ko jagte hain isi waste ki KHwab
dekhega band aankhen to phir lauT jaega
Ahmad Shahryar
samai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein
wo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi
Ahmad Shahryar