sari duniya se alag wahshat-e-dil hai apni
ye ki lagti hai na ghar ki na bayaban wali
Ahmad Sagheer Siddiqui
sunta hai yahan kaun samajhta hai yahan kaun
ye shaghl-e-suKHan waqt-guzari ke liye hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
taKHliq KHud kiya tha kal apne mein ek ghar
ab ghar se KHalq chand makin kar rahe hain hum
Ahmad Sagheer Siddiqui
the yahan sare amal radd-e-amal ke muhtaj
zindagi bhi hamein darkar thi marne ke liye
Ahmad Sagheer Siddiqui
usi KHatir haTa li hai masail se tawajjoh
unhen thoDa sa main gambhir karna chahta hun
Ahmad Sagheer Siddiqui
ye kya ki aashiqi mein bhi fikr-e-ziyan rahe
daman ka chaak ta-ba-jigar jaana chahiye
Ahmad Sagheer Siddiqui
ye na dekho ki mere zaKHm bahut kari hain
ye batao ki mera dushman-e-jaan kaisa hai
Ahmad Sagheer Siddiqui