kahan main aur kahan gosha-nashini ka ye elan
ye sara silsila mashhur hone ke liye tha
Ahmad Sagheer Siddiqui
kholin wo dar kisi ne bhi khola na ho jise
koi jidhar na jae udhar jaana chahiye
Ahmad Sagheer Siddiqui
KHud apni zat se ek muqtadi nikalta hun
main apna shauq-e-imamat yunhi nikalta hun
Ahmad Sagheer Siddiqui
kisi surat ye nukta-chiniyan kuchh rang to lain
chalo yun hi sahi ab nam to mashhur hai mera
Ahmad Sagheer Siddiqui
koi taswir bana le ki tujhe yaad rahen
tez chalti hai hawa rang uDe jate hain
Ahmad Sagheer Siddiqui
kuchh der mein ye dil kisi ginti mein na hoga
betab bahut rae-shumari ke liye hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
parda jo uTha diya gaya hai
kya tha ki chhupa diya gaya hai
Ahmad Sagheer Siddiqui