ye haqiqat hai ki ahbab ko hum
yaad hi kab the jo ab yaad nahin
Nasir Kazmi
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya
Nasir Kazmi
yun kis tarah kaTega kaDi dhup ka safar
sar par KHayal-e-yar ki chadar hi le chalen
Nasir Kazmi
yun to har shaKHs akela hai bhari duniya mein
phir bhi har dal ke muqaddar mein nahin tanhai
Nasir Kazmi
zara si baat sahi tera yaad aa jaana
zara si baat bahut der tak rulati thi
Nasir Kazmi
zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi
hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae
Nasir Kazmi
aKHroT khaen tapen angeThi pe aag aa
raste tamam ganw ke kohre se aT gae
Nasir Shahzad

