muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza
in KHali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye
Nasir Kazmi
mujhe to KHair watan chhoD kar aman na mili
watan bhi mujh se gharib-ul-watan ko tarsega
Nasir Kazmi
mujhe ye Dar hai teri aarzu na miT jae
bahut dinon se tabiat meri udas nahin
Nasir Kazmi
na ab wo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udas barkha
yunhi zara si kasak hai dil mein jo zaKHm gahra tha bhar gaya wo
Nasir Kazmi
na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jae kahin
Nasir Kazmi
nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
wo shaKHs to shahr hi chhoD gaya main bahar jaun kis ke liye
Nasir Kazmi
nai duniya ke hangamon mein 'nasir'
dabi jati hain aawazen purani
Nasir Kazmi

