mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi baKHshi hai magar
jab chali ghar se to main nam tera le ke chali
Naseem Nikhat
aawazon ki bhiD mein itne shor-sharabe mein
apni bhi ek rae rakhna kitna mushkil hai
Naseem Sahar
a-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega
na jaane aaj yahan kaun mara jaega
Naseem Sahar
diye ab shahr mein raushan nahin hain
hawa ki hukmarani ho gai kya
Naseem Sahar
hudud-e-waqt ke darwaze muntazir hain 'nasim'
ki tu ye fasle kar ke ubur dastak de
Naseem Sahar
jo baat ki thi hawa mein bikharne wali thi
jo KHat likha tha wo purzon mein baTne wala tha
Naseem Sahar
jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai
to goya phul se KHushbu kashid kar li hai
Naseem Sahar

