kabhi to sard laga dopahar ka suraj bhi
kabhi badan ke liye ek karan ziyaada hui
Naseem Sahar
lafz bhi jis ahd mein kho baiThe apna e'tibar
KHamushi ko is mein kitna mo'tabar main ne kiya
Naseem Sahar
safar ka marhala-e-saKHt hi ghanimat tha
Thahar gae to badan ki thakan ziyaada hui
Naseem Sahar
kuchh KHud bhi hun main ishq mein afsurda o ghamgin
kuchh talKHi-e-haalat ka ehsas hua hai
Naseem Shahjahanpuri
main ne mana aap ne sab kuchh bhula Dala magar
ghair-mumkin hai kabhi mera KHayal aata na ho
Naseem Shahjahanpuri
sar-e-mahshar agar pursish hui mujh se to kah dunga
sarapa jurm hun ashk-e-nadamat le ke aaya hun
Naseem Shahjahanpuri
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai
Naseem Shahjahanpuri

