sari gawahiyan to mere haq mein aa gain
lekin mera bayan hi mere KHilaf tha
Nafas Ambalvi
tarikiyan qubul thin mujh ko tamam umr
lekin main jugnuon ki KHushamad na kar saka
Nafas Ambalvi
tu dariya hai to hoga han magar itna samajh lena
tere jaise kai dariya meri aankhon mein rahte hain
Nafas Ambalvi
use guman hai ki meri uDan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye aasman kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
uTha laya kitabon se wo ek alfaz ka jangal
suna hai ab meri KHamoshiyon ka tarjuma hoga
Nafas Ambalvi
wo bhiD mein khaDa hai jo patthar liye hue
kal tak mera KHuda tha mujhe itna yaad hai
Nafas Ambalvi
ye ishq ke KHutut bhi kitne ajib hain
aankhen wo paDh rahi hain jo tahrir bhi nahin
Nafas Ambalvi

