sare sawal aasan hain mushkil ek jawab
hum bhi ek jawab hain koi sawal kare
Nadeem Bhabha
kidhar ko jaun hawaon ki qaid se chhuT kar
zamin tang hui aur rasta ghae
Nadeem Goyai
tu paniyon mein zara aise hath panw na mar
nikalna dur raha aur Dub jaega kuchh
Nadeem Goyai
duniya badal gai thi koi gham na tha mujhe
tum bhi badal gae the ye hairani kha gai
Nadeem Gullani
nahin hai jis ka hal ab to koi 'nadim' bas ek siwa tumhaare
main ek aisa hi masala hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Nadeem Gullani
tamam umr tere intizar mein hamdam
KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko
Nadeem Gullani
tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa
Nadeem Gullani

