ye to samjha main KHuda ko ki KHuda hai lekin
ye na samjha ki samajh mein meri kyunkar aaya
Muztar Khairabadi
yun kahin Dub ke mar jaun to achchha hai magar
aap ki chah ka pani nahin bharna mujh ko
Muztar Khairabadi
zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken
ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye
Muztar Khairabadi
zaban qasid ki 'muztar' kaT li jab un ko KHat bheja
ki aaKHir aadmi hai tazkira shayad kahin kar de
Muztar Khairabadi
zulf ka haal tak kabhi na suna
kyun pareshan mera dimagh hua
Muztar Khairabadi
zulf ko kyun jakaD ke bandha hai
us ne bosa liya tha gal ka kya
Muztar Khairabadi
dil ka shajar to aur bhi palne ki aaD mein
murjha gaya hai phulne-phalne ke nam pa
Nadeem ahmad

