jab un ki pattiyan bikhrin to samjhe maslahat us ki
ye gul pahle samajhte the hawa be-kar chalti hai
Muztar Khairabadi
jagane chuTkiyan lene satane kaun aata hai
ye chhup kar KHwab mein allah jaane kaun aata hai
Muztar Khairabadi
jalega dil tumhein bazm-e-adu mein dekh kar mera
dhuan ban ban ke arman mahfil-e-dushman se niklenge
Muztar Khairabadi
jalwa-e-ruKHsar-e-saqi saghar-o-mina mein hai
chand upar hai magar Duba hua dariya mein hai
Muztar Khairabadi
janab-e-KHizr rah-e-ishq mein laDne se kya hasil
main apna rasta le lun tum apna rasta le lo
Muztar Khairabadi
jitne but hain main sab pe marta hun
mera iman ek ho to kahun
Muztar Khairabadi
jiye jate hain pasti mein tere sare jahan wale
kabhi niche bhi nazren Dal unche aasman wale
Muztar Khairabadi

