in buton ki hi mohabbat se KHuda milta hai
kafiron ko jo na chahe wo musalman nahin
Muztar Khairabadi
is se pahle main kabhi aabaad ghar basti mein tha
aaj 'muztar' ek ujDa jhonpaDa jangal mein hun
Muztar Khairabadi
ishq ka kanTa hamare dil mein ye kah kar chubha
ab nikalwao to tum un se nikalwana mujhe
Muztar Khairabadi
isi ko pi ke hoti hai shifa bimar-e-ulfat ko
dawa qatil tere talwar ke pani ko kahte hain
Muztar Khairabadi
ja ke ab nar-e-jahannam ki KHabar le zahid
naddiyan bah gain ashkon ki gunahgaron mein
Muztar Khairabadi
jaan dena nahin kise manzur
tu kisi kaam se to aaega
Muztar Khairabadi
jab main ne kaha dil mera pamal kiya kyun
kis naz se bole ki mohabbat ki saza thi
Muztar Khairabadi

