sunaiye wo latifa har ek jam ke sath
ki ek bund se iman TuT jata hai
Muzaffar Hanfi
sunta hun ki tujh ko bhi zamane se gila hai
mujh ko bhi ye duniya nahin ras aai idhar aa
Muzaffar Hanfi
us ne mujh ko yaad farmaya yaqinan
jism mein aaya hua hai zalzala sa
Muzaffar Hanfi
yun palak par jagmagana do ghaDi ka aish hai
raushni ban kar mere andar hi andar phail ja
Muzaffar Hanfi
is shahar ka dastur hai rishton ka bhulana
tajdid-e-marasim ke liye hath na bandhun
Muzaffar Iraj
andaz-e-ghazal aap ka kya KHub hai 'razmi'
mahsus ye hota hai qalam toD diya hai
Muzaffar Razmi
KHud pukaregi jo manzil to Thahar jaunga
warna KHuddar musafir hun guzar jaunga
Muzaffar Razmi

