kis jafa-kar se hum ahd-e-wafa kar baiThe
aaKHir is baat ne ek roz pasheman kiya
Mohammad Amaan Nisar
kya fusun tu ne KHuda jaane ye hum par mara
tujh se phirta nahin dil hum ne bahut sar mara
Mohammad Amaan Nisar
mat munh se 'nisar' apne ko ai jaan bura kah
hai sahab-e-ghairat kahin kuchh kha ke na mar jae
Mohammad Amaan Nisar
mujh mein aur un mein sabab kya jo laDai hogi
ye hawai kisi dushman ne uDai hogi
Mohammad Amaan Nisar
tha jinhen husn-parasti se hamesha inkar
wo bhi ab talib-e-didar hain kin ke un ke
Mohammad Amaan Nisar
dawar-e-hashr mera nama-e-amal na dekh
is mein kuchh parda-nashinon ke bhi nam aate hain
Mohammad Deen Taseer
hamein bhi dekh ki hum aarzu ke sahra mein
khile hue hain kisi zaKHm-e-arzu ki tarah
Mohammad Deen Taseer

